Monday, August 27, 2012

HamAre hAth bandhe rahe…*

HamAre hAth bandhe rahe
mutthiyAn nahin bandhin
hum sabhi yuvA the
aur hum sab kavi.

LikhnA hum chAhte the
tab tak likhi jA chukin
tamAm kavitAon se bhi
ek kavitA badi
hum sabhi yuvA the
aur hum sab kavi.

Hum mahAnagar ke nikat
up-nagaron mein rahte the
par sochte mahAnagar the
khAte-pite mahAnagar
uthate-baithte mahAnagar
sote-jAgte mahAnagar
odhte-bichhAte mahAnagar…
hum jeete bas mahAnagar the
aur chAhte
ki mahAnagar aur bAharwAle
yahi mAnein ki hum
rahte hain mahAnagar mein…

vaise ye bhi sach hai ki
hum sabhi the jAnte
ki mahAnagar ki jadd mein
kai-ek burAiyAn rahtin hain…
ki mahAnagar ke kavi ke liye
mushkil ho jAtA hai rakhnA
apni boodhi amma ko
apne chhote-se flate mein
kisi nirAshray kavi-mitr ko
chand rAt Ashray de pAnA
bahut hi mushkil
mahAnagar ke kavi ke liye…
phir bhi hum the chAhte/ mahAnagar ko
aur hona/ mahAnagar mein hi
hum sabhi yuvA the
aur hum sab kavi.

MahAnagar mein bade-bade
sAhityik Ayojan hote
aur unmein mahAnagar ke
sAre boodhe kavi-gann hote
hum bhi hote
lekin bas do hi jagahon par
bade-boodhon ke bhAshanon mein
yA Ayojan-kAryon mein
shesh jagah boodhe chhAte
hum unke Age nat-mastak hote
aur kabhi hote uddand
alag jamAte apni goshthi
hum sab yuvA
hum sab kavi.

aise hi ek Ayojan ki
poorv-sandhya par mile the
hum sab yuvA
hum sab kavi.
aur humne samay-samAj
aur unse jude sawAlon
aur unke liye
ladi jAnewAli ladAyiyon par
bAtein ki thin
aur ant mein yah tay pAyA tha
ki samay-samAj ki mushkilein
door karne ki zimmedAri
dAl rakhi hai
hum par hi itihAs ne
ki jab boodhon ne kar rakhin hain
band apni khidkiyAn
apna kAm/ khidki-darwAze khole rakhnA
tAki dil bhi khule rahein
ki jab boodhon ne kar rakkhA hai
behad gandA-behad jAm
shahar kA har rAstA
hai inki sulah-safAi bhi behad zaroori
aur zaroori/ iss muhim mein
ek sang chalnA humArA…

agle din Ayojan mein
mahAnagar ke sAre boodhe
Aye the cAron-jeepon mein
ek boodhe ne tAreefein kin
humAre ek yuvA sAthi ki
doosre ko thap-thapAyA
teesre se bAtein ki thin muskurAkar…

Ayojan ke Akhir mein
pahle teen yuvA kaviyon ne
janm se vAshinde the jo mahAnagar ke
apne-apne ghar jAne ki jaldi mein
Lift le li/ ussi boodhe ki cAr mein
ChauthA jo panjAb se thA
jAne kab tay kar chukA thA
jeepwAle boodhe ke ghar
rAtri-bhoj mein shamil honA
aur pAnchvAn jiski paidAish thi bihAr ki
jA baithA chauthe ke bAju jeep mein
toh boodhe ne uss-se kahA ki
rAtri-bhoj ki list mein
kahin nahin hai nAm tumhArA
kaise A baithe tum yahAn…

aur wo humArA pAnchvAn
antim bachA yuvA kavi
apne vinat andAz mein
utar gayA thA jeep se

Iss daurAn
chAron dishA khAmosh rahi
chAron ke lab khAmosh rahe
jAne kin/ adrishy tAron ne
pakad rakhi thin ungliyAn ki
poore vinamr bhAv se
humAre hAth bandhe rahe
mutthiyAn nahin bandhin
hum sabhi yuvA the
aur the hum sab kavi!


* published in the Hindi monthly 'Hans', January 2003.

2 comments:

Victor Sylani said...

note:- "iss kavita ka kissi bhi sachchi ghatna, sthan ya vyakti se koi sambandh nahin hai, aisi koi bhi samanta keval sanyog matr hai."

Unknown said...

very nice, keep it up Mr. MahAkavi of the MahAnagar;-)