Sair kar DuniyA ki ghAfil ZindgAni phir kahAn ZindgAni rahi bhi to noujawAni phir kahAn!
Friday, August 31, 2012
TheOneSheepFold: JESUS' MESSAGE TO ALL:"You will know The Truth... ...
TheOneSheepFold: JESUS' MESSAGE TO ALL:"You will know The Truth...
...: JESUS' MESSAGE TO ALL: "You will know The Truth ... ....and The Truth shall SET YOU FREE !! "
...: JESUS' MESSAGE TO ALL: "You will know The Truth ... ....and The Truth shall SET YOU FREE !! "
Tuesday, August 28, 2012
One More
MAANJHI GEET
Naav bhage, Dhaar bahe
Man machale re!
Panchhi door aakaash-tale
Needh dhoondhe re-he-he ! (2)
Thirr sarovar, kankari se
Halchal-halchal !
Laharein be-chain, dhoondhein
Chain har-ek pal ! (2)
Machhliyaan kis chaah, jaane (2)
Tad-fadaayein re-he-he !
Naav bhage, Dhaar bahe…..
Ek safar anjaan, jeevan,
Thaanv dhoondhe kaun !
Prashn-gunthe raat-din hain,
Aur dishaayein maun !! (2)
Praann-chidi, band-pijjar (2)
Khud-budaaye re-he-he !
Naav bhage, Dhaar bahe…..
(Written in Jamshedpur, year 1995/96)
O LORD, O LORD (A Cry to The Lord)
O Lord O Lord, Why Have You forsaken me O Lord!
O Lord O Lord, Have mercy on me, O Lord
O Lord O Lord, Help me help me, O Lord…
I’m getting fade-up of this world
I kept failing all in my work… (2)
O Lord O Lord...
I’m wandering into sea of life, O Lord
Call me too please, in your sheepfold… (2)
O Lord O Lord...
Lord You! Only You are my Wine.
Make me, Lord, as one of your branch...(2)
O Lord O Lord...
I am longing Lord, to be your disciple,
Grant your grace to make it possible… (2)
O Lord O Lord....
I give You thanks, O Lord, Alleluia!
I give You praise, O God, Alleluia!
Alleluia Amen Alleluia!
Alleluia Amen Alleluia!!
By: Sylani Singh (Chris)
Monday, August 27, 2012
HamAre hAth bandhe rahe…*
HamAre hAth bandhe rahe
mutthiyAn nahin bandhin
hum sabhi yuvA the
aur hum sab kavi.
LikhnA hum chAhte the
tab tak likhi jA chukin
tamAm kavitAon se bhi
ek kavitA badi
hum sabhi yuvA the
aur hum sab kavi.
Hum mahAnagar ke nikat
up-nagaron mein rahte the
par sochte mahAnagar the
khAte-pite mahAnagar
uthate-baithte mahAnagar
sote-jAgte mahAnagar
odhte-bichhAte mahAnagar…
hum jeete bas mahAnagar the
aur chAhte
ki mahAnagar aur bAharwAle
yahi mAnein ki hum
rahte hain mahAnagar mein…
vaise ye bhi sach hai ki
hum sabhi the jAnte
ki mahAnagar ki jadd mein
kai-ek burAiyAn rahtin hain…
ki mahAnagar ke kavi ke liye
mushkil ho jAtA hai rakhnA
apni boodhi amma ko
apne chhote-se flate mein
kisi nirAshray kavi-mitr ko
chand rAt Ashray de pAnA
bahut hi mushkil
mahAnagar ke kavi ke liye…
phir bhi hum the chAhte/ mahAnagar ko
aur hona/ mahAnagar mein hi
hum sabhi yuvA the
aur hum sab kavi.
MahAnagar mein bade-bade
sAhityik Ayojan hote
aur unmein mahAnagar ke
sAre boodhe kavi-gann hote
hum bhi hote
lekin bas do hi jagahon par
bade-boodhon ke bhAshanon mein
yA Ayojan-kAryon mein
shesh jagah boodhe chhAte
hum unke Age nat-mastak hote
aur kabhi hote uddand
alag jamAte apni goshthi
hum sab yuvA
hum sab kavi.
aise hi ek Ayojan ki
poorv-sandhya par mile the
hum sab yuvA
hum sab kavi.
aur humne samay-samAj
aur unse jude sawAlon
aur unke liye
ladi jAnewAli ladAyiyon par
bAtein ki thin
aur ant mein yah tay pAyA tha
ki samay-samAj ki mushkilein
door karne ki zimmedAri
dAl rakhi hai
hum par hi itihAs ne
ki jab boodhon ne kar rakhin hain
band apni khidkiyAn
apna kAm/ khidki-darwAze khole rakhnA
tAki dil bhi khule rahein
ki jab boodhon ne kar rakkhA hai
behad gandA-behad jAm
shahar kA har rAstA
hai inki sulah-safAi bhi behad zaroori
aur zaroori/ iss muhim mein
ek sang chalnA humArA…
agle din Ayojan mein
mahAnagar ke sAre boodhe
Aye the cAron-jeepon mein
ek boodhe ne tAreefein kin
humAre ek yuvA sAthi ki
doosre ko thap-thapAyA
teesre se bAtein ki thin muskurAkar…
Ayojan ke Akhir mein
pahle teen yuvA kaviyon ne
janm se vAshinde the jo mahAnagar ke
apne-apne ghar jAne ki jaldi mein
Lift le li/ ussi boodhe ki cAr mein
ChauthA jo panjAb se thA
jAne kab tay kar chukA thA
jeepwAle boodhe ke ghar
rAtri-bhoj mein shamil honA
aur pAnchvAn jiski paidAish thi bihAr ki
jA baithA chauthe ke bAju jeep mein
toh boodhe ne uss-se kahA ki
rAtri-bhoj ki list mein
kahin nahin hai nAm tumhArA
kaise A baithe tum yahAn…
aur wo humArA pAnchvAn
antim bachA yuvA kavi
apne vinat andAz mein
utar gayA thA jeep se
Iss daurAn
chAron dishA khAmosh rahi
chAron ke lab khAmosh rahe
jAne kin/ adrishy tAron ne
pakad rakhi thin ungliyAn ki
poore vinamr bhAv se
humAre hAth bandhe rahe
mutthiyAn nahin bandhin
hum sabhi yuvA the
aur the hum sab kavi!
* published in the Hindi monthly 'Hans', January 2003.
Saturday, August 25, 2012
PREM KO DEKHA HAI…?
-Kya tumne, Kya tumne, kya tumne, haan tumne!
Kya tumne… kya tumne… kya tumne- Prem ko dekha hai? (2)
-Dekha hai… haan dekha hai… Yeshu mein… Sakaar dekha hai!
(2)
Parmeshwar ki prem kahani, Yeshu mein sakaar hui. (2)
Pyar bhari mukti ki raah, Sab ke liye aasan hui. (2)
Swarg ki seedhi har Vishwasi ke liye taiyar hui. (2)
-Dekha hai… dekha hai… dekha hai…
Haan Hamne (3) Prem ko dekha hai. / Yeshu mein (3) Sakaar
dekha hai.
Eishwar ka sandesh
hai kya? Kya tumne hai suna kabhi? (2)
‘Yeshu Mera pyara Putr hai, Iski baatein suno sabhi.’ (2)
Yeshu par vishwas karo, Aur swarg ki Kunji le-lo abhi. (2)
-Vishwas karo… Vishwas karo… Vishwas karo…
Haan Hamne (3) Vishwas ko dekha hai. / Yeshu mein (3) Sakaar
dekha hai.
Yeshu ka sandesh madhur hai- Pyar karo bas pyar karo. (2)
Sabse zyada apne Prabhu Parmeshwar ko pyar karo, (2)
Aur fir har-ek insan se apne-jaisa pyar karo. (2)
Pyar karo… Pyar karo… bas Pyar karo…
Haan Hamne (3) Pyar ko dekha hai./ Yeshu mein (3) Sakaar
dekha hai.
Haan Hamne (3) Vishwas ko dekha hai… Yeshu mein (3) Sakaar
dekha hai.
Haan Hamne (3) Pyar ko dekha hai… Yeshu mein (3) Sakaar
dekha hai.
By: Sylani Singh (Chris)
And THIS IS THAT poem/ song which originated on
the Ghats of Varanasi while sitting on steps of the Ghat in the evening &
having some Nauka-Vihaar on the wavy chest of the River Ganga the same night
way back in (last week of Sept) 1996; and got completed in Mumbai after a gap
of whole One year or so... when one fine afternoon sitting on my writing table
in Lenin Library, Ulhasnagar I felt like all those frozen moment all sudden
have started to melt... yeah, it was as it is! I felt it literally!! All those frozen moment started melting
and transforming themselves into a flesh of words...*
Ghaat-Baat Chhoot chale, Sang hai na sathi;
Manva ke Pijare me Tadape koi Pakhi! (2)
Naache hai beech bhanvar, jaise Agan, re hey Majhi re!
Oho, Majhi Re Naav Badhao... Majhi Re! Oho, Majhi Re...Oho, Majhi Re...
Saanjh Dali Poorab ke Maatthe Andhera,
Sooraj ki Bindi ka Pachchhim Basera! (2)
Laali ka Dess kahaan Doondhoon sajan, re hey Majhi re!
Oho, Majhi Re Naav Badhao... Majhi Re! Oho, Majhi Re...Oho, Majhi Re...
Dhoop-Chhanv, Raat-Din, Duniya ke Mele;
Apne hi Needon mein Panchhi Akele! (2)
Dharti akeli..... Akela Gagan.... re hey Majhi re!
Nadiya ke paani par jhil-mil ka khela,
Soone aakash chale Chanda Akela ! (2)
Anjaani Raahon ka Raahi Magan, re hey Majhi re!
*(Only the ' Mukhara' has came there in Banaras, and all the 'Antaras' were got written in Mumbai, 1997.)
Majhi Re Naav Badhao...
Majhi Re!
Majhi re Naav Badhao... Majhi re! (2)
Laherein Uttal, Taal De Raha Pawan,
Naiya ke sang-sang Dol raha Mann, re hey Majhi re!
Oho, Majhi Re Naav Badhao... Majhi Re! Oho, Majhi Re...Oho, Majhi Re...
Ghaat-Baat Chhoot chale, Sang hai na sathi;
Manva ke Pijare me Tadape koi Pakhi! (2)
Naache hai beech bhanvar, jaise Agan, re hey Majhi re!
Oho, Majhi Re Naav Badhao... Majhi Re! Oho, Majhi Re...Oho, Majhi Re...
Saanjh Dali Poorab ke Maatthe Andhera,
Sooraj ki Bindi ka Pachchhim Basera! (2)
Laali ka Dess kahaan Doondhoon sajan, re hey Majhi re!
Oho, Majhi Re Naav Badhao... Majhi Re! Oho, Majhi Re...Oho, Majhi Re...
Dhoop-Chhanv, Raat-Din, Duniya ke Mele;
Apne hi Needon mein Panchhi Akele! (2)
Dharti akeli..... Akela Gagan.... re hey Majhi re!
Naav Badhao... Majhi Re, Naav Badhao! Oho, Naav Badhao...
Nadiya ke paani par jhil-mil ka khela,
Soone aakash chale Chanda Akela ! (2)
Anjaani Raahon ka Raahi Magan, re hey Majhi re!
Oho, Majhi Re Naav Badhao... Majhi Re! Oho, Majhi Re...Oho, Majhi
Re...
Laherein Uttal, Taal De Raha Pawan,
Naiya ke sang-sang Dol raha Mann, re hey Majhi re!
Oho, Majhi Re Naav Badhao... Majhi Re!
Oho, Majhi Re...Oho, Majhi Re...
Naav Badhao... Majhi Re, Naav Badhao!
Oho, Naav Badhao... Oho, Naav Badhao... Oho, Naav Badhao!!
*(Only the ' Mukhara' has came there in Banaras, and all the 'Antaras' were got written in Mumbai, 1997.)
Friday, August 24, 2012
Back to memory lanes... via Varanasi!!
I came Mumbai on 2nd October1996 via Banaras; accidentally actually.
One fine morning (actually very bad, emotionally), while was going to my then news weekly office near to Sakchi, I've finally decided to go (come) Mumbai. It was 3rd Sept. 1996.
And when one of my poet friend Rakesh, somehow, heard about it he came to meet me at my office located at Sakchi Road (its call Kalimati Road, I guess). Was working for a news weekly, under the Editor Jagdesh Ji, who used to be A VERY DEAR PERSON to me! Rakesh asked me to join them for a 5 day program somewhere in MP. I went. It was17th Sept the same year when I left Jamshedpur.... After the program, he asked me again to join him to go Banaras as he was studying in BHU those days, saying emotionally, "tum bombay ja raha hai, pata nahin fir kab milna hoga, chalo kuch din Banaras rah lo...." No prizes for guessing: I 'obliged' him, obviously! (he he..). And we've had a lot of Ghumna-firana in Banaras. The most memorable thing I experienced there was an evening at Ganaga ghat.... Wo shaam, apne saare drishyon aur anubhutiyon ke sath mere zehn mein freeze ho gayi thi jaise (that evening, with all its landscapes & moments, got frozen in my memory)...and after a year or so, in Mumbai, I've completed that poem "Majhi re naav badhao, Majhi re..." that has started that very evening at a Ganga ghat in Banaras.
Now, its 2012. I'm going to be baptized as soon as possible!
I've had some very close and spiritually so enriching experiences of Jesus Christ's love for me and for all the human race. He was the Word Incarnate, The Only Son of The Father God Almighty! He came down on earth to save all of us from the death of sin; and to give us Moksha or Eternal Life to all the mankind who believes in him!
Yesterday, however, I was just searching on net for some Catholic cultural group and I went through "Nav Sadhana" a dance school under the Diocese of Varanasi (http://www.dioceseofvaranasi.org/index.html). And I just could not help myself but to think if there is any Diocese in Jamshedpur too...! I find St. Joseph’s Cathedral there in Jamshedpur on net.
And, to my bigger surprise, in a process of finding the exact location of St. Joseph’s Cathedral on Google Maps (http://maps.google.com/), I just can't resist myself to see my childhood place- Telco Colony- on the Google satellite Map! And... It was like revisiting the long forgotten my own past... like watching a film of my own childhood... I felt like, it's not a matter of years but just of the passing day, of the yesterday
I had never visited my past this way before... I've never had a 'tendency' of looking back with 'a lot of affection & emotions'... I never ever though that I, really, love those places that much... even today!!
O My Jesus! What haveYou kept stored for me for the future....
Yeshu hi hai wo rasta..
Thank you Lord, Alleluia! Allelu Alleluia!
praise the Lord, Alleluia! Amen Alleluia!!
Yeshu hi hai wo raasta, jis pe mujhe hai chalna.
Jesus is the only way, I want to follow.
Mil gaya hai wo raasta, jis pe humein hai badhna.
We have found the path on which we want to go…
Thank you Lord, Alleluia! Allelu Alleluia!
praise the Lord, Alleluia! Amen Alleluia!!
By: Sylani Singh (Chris)
Hey mere Prabhu Yeshu
Tera pyar hai sagar-sa, Tera pyar kinara hai. (2)
Hey Prabhu, Tu Jeevan hai… (Corus :) Jeevan Tune diya!
Hey Prabhu Tu Mukti hai… (Corus :) Anant jeevan bhi diya!
Hey Prabhu Tu Shanti hai… (Corus :) Shanti Tune di!
Hey Prabhu Tu Shakti hai… (Corus :) Shakti bhi Tune di!
Tu hi Jeevan, Tu hi Mukti; Tu Shanti hai, Tu hi Shakti. (2)
Tu hi Rasta, Tu hi manzil, Tu hi Ujiyara hai...!!!
Hey mere
Prabhu Yeshu, Tu kitna pyara hai!
Tera pyar hai sagar-sa, Tera pyar kinara
hai!
Tera naam hai sabse Paavan… (Corus :) Prabhu sabse Pavan
hai!
Tera naam hai sabse Uoncha… (Corus :) Prabhu sabse Uoncha
hai!
Tera naam hai sabse Nyara … (Corus :) Prabhu sabse Nyara hai!
Tera naam hai sabse Pyara … (Corus :) Prabhu sabse Pyara hai!
Sabse Pavan, sabse Uoncha; Sabse Nyara, sabse Pyara. (2)
Sabse Achcha, sabse Sachcha Prabhu Yeshu hamara hai…!!!
Hey mere
Prabhu Yeshu, Tu kitna pyara hai!
Tera pyar hai sagar-sa, Tera pyar kinara
hai. (2)
By: Sylani Singh (Chris)
Songs for Our Lord Jesus Christ
1. YESHU KE NAAM…EK GHAZAL**
Har pal teri nazar mujh par lagi hai Yeshu.
Har pal teri nazar humein dekhti hain Yeshu.
Teri nazron me kitna pyar, bas dulaar hai Yeshu (2)
Har pal (Yeshu *)teri nazar (Yeshu* ) mujhe dekhati hai
Yeshu…
Swarg se aakar mere liye Tu qurban ho gaya!
Swarg se aakar sab ke liye Tu qurban ho gaya!
Eishwar ka sabse bada Tu uphaar hai, yeshu!!
Yeshu, Yeshu, Yeshu, Yeshu (2)*
Har pal (Yeshu *) teri nazar (Yeshu* ) mujhe dekhati hai
Yeshu…
Chukka na main paunga kabhi tere pyar ka ye karz.
Chukka na hum payenge kabhi ye karz pyar ka.
Jag mein nahin Tujh saa koi dildaar hai, Yeshu!
Yeshu, Yeshu, Yeshu, Yeshu (2)*
Har pal (Yeshu *) teri nazar (Yeshu* ) mujhe dekhati hai
Yeshu…
By: Sylani Singh (Chris)
(Yeshu *) & (2)*
= for Corus.
GHAZAL**= Ghazal- which means ‘Lover’s Conversation’ also
meant for ‘Conversation with God’ - is a very popular form in Urdu & Hindi
poetry.
Labels:
My Yeshu Songs
Location:
Awas Beach Rd, Maharashtra, India
Subscribe to:
Posts (Atom)