Local Ek Vyavastha...
Local ek vyavastha hai
Ek poori vyavastha hai Local.
Isme chadne aur utarne
Khade rahne
Aur baithne ke bhi
Hain Kuchh Qayade niyam…
Tum chahe platform par h
Ya fir Foot Over Bridge pe
Beech mein ruko nahin
Chalte raho/ jaldi-jaldi
Varna lagenge/ itne dhakke
Ki disha-gyaan bhi gupt ho jayega…
Station pe aa hi gaye ho to
Dikhao zara/ itani chusti-furti ki
Train ke platform
par lagne se pahle hi
Tum ja lago apni seat se…
Seat to hai teen hi ke liye
Par chautha bhi ho jata hai adjust
Mano hon ye char varan
Chauthe ki koi jagah nahin
Par ho jata hai adjust…
Wo hai bhi aur nahin bhi hai
Chauthe ki jagah depend karegi
Pahle teeno ki rahamdili pe
Ya fir kabhi
Chauthe ki barzori par
bhi...
Khade raho to qaayde se
Ek-dusare se kuch yun chipak kar
Ki na ho kisi ko bhi shikayat...
Bag rakho mat kandhe par
Varna logo ko mushkil hogi
Aur logo ko jab mushkil hogi
To we tumhe bhi daal denge mushkil
mein...
Haath dono upar rakho
Hands-up ki mudra me
Varna tumhe
Arajak/ vidrohi karaar diya jayega
Aur lag sakta hai charge tum par
Apraadhi/ pocket-maar hone ka...
Aise hi kuchh qayade hain
Kuchh a-ghoshit se niyam
Mahanagar ki localon mein
Safar karne ke
Manoge unko to
Suffer nahin karoge
Kroge un par amal to
Bane rahoge local me
Aur fir mahanagar mein…
Varna ye bhi sambhav hai
Agale chand dino mein hi
Tum pao khud ko
baithe hue
Kisi baahargao jaanewali train me
Man hi man koste
Ya galiyan dete
Mahanagar ki localon ko…
Par maine to
Cheta diya tha pahle hi ki
Local mein chadhna hai to
Mahanagar mein rahna hai to
Man-na hoga iska system…
System nahin manoge to
Mil sakta hai 'Desh-Nikala'...
Local ek vyavastha hai
Ek poori vyavastha hai Local.
By: Sylani Singh (Chris)